maine jin kitabon ko jatan se saheja
aapne unki silai udhed di.
jin diariyon ko varshon sambhala
aapne unke panne gayab kar diye.
shaffaq divaron pe chitra ukere
aur mehnat se banaye mere chitron pe paint ki dibiya udel di.
meri likhi kavitaon ke upar hi aapne kiya varnmala ka abhyas.
jab mai karne baitha abhyas to bar bar dala vyavdhan.
kitna kiya pareshan.
mere pran.
बहुत सुंदर भाव हैं.... आप रोमन लिपि मे क्यूँ लिखते हैं ?
जवाब देंहटाएंsunder kavita... sristi ki rachna prakriya ko samjhaya hai aapne.. adbhud
जवाब देंहटाएं"maine jin kitabon ko jatan se saheja
जवाब देंहटाएंaapne unki silai udhed di.
jin diariyon ko varshon sambhala
aapne unke panne gayab kar diye."
Anubhav ko shabdon ke madhyam se bhaw dekar aapne aik aakarshak rachnadharmita dikhai hai.sunder abhivyakti.